Agar aap kisi v cheez ko hasil karna chahte ho yaa zindegi mein kamiyan hona chahte ho ,toh apke pass ek sharp mind yani ki tez dimag hona chahiye...Aap agar ye chahte ho ki duniya aap ko ek alag nazar se dekhe toh aap ko kuch hat k karna padega ..
aur iske liye aapko ek tez dimag ki zaroorat hai...aj aap ye janoge ki aapne dimag ki shakti ko kaise badhaye...
Aap jo v kam karte ho yaa jo v decision lete ho uske liya aap ka dimag zimmedar hai...kyun ki aap dimag mein jo sochte ho wo kaam ko hi aap karte ho, yaa wahi decision aap le pate ho jo aap dimag se sochte ho...aj jo zamana hai wo bohut fast ho chuka... Competition bohut jyada ho gaya hai...har field mein competition hai...kisi v field mein jao ek se barkar ek kamiyam banda pehle se hi betha hai...aap kisi v raste se chalo competition pe toh hissa lena hi hai aap ko...kher , aap agar usse competition nehi v mante ho..tab v aap ko to kuch achcha karna hi hoga dusre logo se...warna duniya aapka kimat nehi samajh payega...aap ka har ek ghante har ek minute ko kam pe lagana hoga...
Aap kisi kam ko kar sakte ho ..fir kyun nehi karte ho? aap ko uss kam mein aj se lag jana chahiye...aap uss kam ko kar sakte ho fir v nehi karte ho kyun ki aap kahi na kahi ye v sochte ho ki shayad wo kam aap nehi v kar payoge...aap ki andar ki nakaratmak shaktiyan jo ki aap ko har kam ko karne mein rok k rakkha hai...usse khatam karna hoga sabse pehle...
Positive thinking yani ki sakaratmak shaktiyan, jo aap ki biswas ko badhata hai.,aapki andar ki alsi ko dur karta hai..isliye hamesha apni dimag ko positive sochne par majbur karo..
Jis kam kam ko v aap karna chahte ho uske ware mein jitna ho sake jankari hasil karo..isse aap ko uss kam ko karne mein aasaan hoga...uss kam k badle mein aap ko kya reward mil raha hai uss k ware mein aap socho... Aur fir kud paro uss kam mein..kam chahe chota ho yaa bada ho bilkul mann laga kar karo...aap agar chote chote kam ko v siddhat karke pura karoge to aap ka biswas aur jyada majbut ho jayega .fir aap kisi Bade kam ko bhi dharya k sath kar paoge..
Ek baat yaad rakhna kisi v kam karne se pehle uss kaam k bare mein jitna jyada knowledge hoga wo kam karne mein utna jyada aap ko aasaan hoga...is isiliye jitna ho sake uss kaam ka information aap k pass rakkhe.. agar koi aisa kam ho jiske ware mein aap jyada nehi jante fir v aap uss kam ko karna chahte ho...toh fir hazaro aisa tarika hai jiski madat se aap wo kam sikh sakte ho , aap uss bishay mein books padh sakte ho , Google kar sakte ho , youtube pe video dekh sakte ho yaa aur v bohut saare rasta hai .. aj k date mein aapka koi v sapna pura ho sakta hai...aap chahe jo v ho jaise v ho isse kuch farak nehi padta... Sirf aap ko uss kam k liye aap ki mind ko energy dena hoga...apke andar positivity hona behad zaroori hai...
ConversionConversion EmoticonEmoticon