google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Pyaar kise kehte hai | What is love.. ~ Dream alive

Pyaar kise kehte hai | What is love..



      Pyaar duniya ki ek sabse khubsurat aur rahasyamayi cheez hai..Pyar ek aisa shakti hai jo insaan ko mansik rup se puri tarah badal deti hai.. Insaan jab pyaar karna sikh jata hai tab woh duniya ki har ek cheezon mein khubsurati dhundh pata hai..log aksar khyalon mein khote rehte hai , hazaro sapne dekhte hai pyaar ko lekar..khuda ne iss pyar ko itni shakti di ki jo bhi insaan iss pyaar ko mehsus kar pata hai woh iss duniya ki harr khushiyon ko ek sath mehsus kar pata hai.. Lekin kehte hai na har khubsurati ki piche ek kaala dag hota hai.. Pyar hamesha khudsurat nehi reh pata .. Pyar kabhi bhi nafrat mein badal sakta hai , kabhi bhi dard mein badal sakta hai , kabhi bhi ghrina mein badal sakta hai.. Pyar jaise insaan ko har khushi de sakte hai uss tarah pyar zindegi barbad bhi kar sakta hai..
   
     Sabse pehle toh  hume yeh samajhna hoga ki pyar kya cheez hai..Pyar ko samajh ne ke liye inssan ki ek janam kaafi nehi hai.. Lekin hum agar thoda simple tarike se samajhne ki koshish kare toh pyar ek mansik sthiti hai , yeh ek anubhav hai , yeh ek biswas hai , yeh ek khubsurati hai . Kisi ko achcha lagna , kisi se dil lagana, kisi ko pane ki chahat rahna isse hi to pyar kehte hai.. Pyar do dilo ka milna ho sakta hai , kisi ek dil ka khwahish ho sakta hai  yaa toh fir do anjaan dilo ka masumiyat bhi ho sakta hai..
           
 

      Pyar ek pal mein bhi ho sakta hai , pyar shadiyon ka chahat bhi ho sakta hai , pyar khuda ka sehmat bhi ho sakta hai. Pyar kisi k liye jeene ki wajah bhi ho sakta hai aur kisi k liye zindegi ki saja bhi ho sakta hai..
   
      Har ek prem kahani badi khubsurti se shuruaat hoti hai ..Ek nayi kahani ke sath ek nayi excitement ke sath ..Insaan zaroorat se jyada khush rehne lagte hai..raaton ko nind kam sapna jyada ane lagte hai..Lekin kamaal ki baat ye hai ki ki har sapne ki piche ek hi chehra rehta hai..
 
      Woh apne liye bohut khudsurat hoti hai  , aur hum duniya ki har ek khubsurat cheezon ke sath uski tulana karne lagte hai , aur akhir mein hum hamesha apno ko hi jeetate hai.. hum hm jab uske sath bethe huwe hote hai , tab wo woh asmaan ki taraf dekh kar ye kahti hai ki -- dekho  ye badal kitni khubsurat hai na?
 
       Hum Hum uss badal ko iss tarah dekhte hai ki pehli baar dekh raha hu.. Aur usdin ehsaas hota hai ki sachme badal khubsurat hoti hai .. Agar woh na hoti toh ye baat shayad kabhi nehi jaan pata..woh pyar nehi khubsurati ka avishkar hai..kuch iss tarah hi shuru hota hai ek kahani..
 
      Hum use vishwas bhi karte hai aur shak bhi karte hai.. Vishwas karte hai kyun ki hum use pyar karte hai , shak karte hai kyun ki hum use khona nehi chahte ..
 
        Har ek reletionship mein kisi na kisi baat pe toh jhagre hote hi rehte hai . lekin har jhagre ki pichhe koi bada reason ho , aisa koi zaroori baat nehi..Kabhi choti choti baaton mein bhi bahut bada jhagre ho jate hai. Halanki sab ko jhagra pasand nehi hota .. Lekin hum jab kisi se hadd se jyada pyar karte hai , tab uski har ek cheezon mein , uski  har baaton ko jyada dhyan dene lagte hai..Udki har ek chhoti chhoti  baaton pe hum apne liye  dhundh ne lagte hai.. Hum usse kisi wajah ke liye nehi ladte hum toh aapni hisse ki pyaar ke liye ladte hai..
   
      Har koi yeh chahta hai ki pyar hamesha barabar ho  ..Yani aap usse jitna pyar karte ho , woh bhi aap ko utna hi pyar kare .. Isiliye hum jab bhi kisi se dil se pyar karte hai , tab hum bhi usse hazaro baar sirf ek hi sawal pichhna chahte hai ki - " tum mujhse kitna pyar karti ho ".. Uss sawal ka jawab shayad woh bhi janna chahti hai , Isliye kabhi toh woh puchh bhi leti hai , lekin kabhi kabhi woh kuch aise tarike dhundhne lagti hai jisse use pata lage ki aap use aap use kitna pyaar karte ho.. lsliye kabhi agar woh aapse kabhi koi Imtihaan leti hai toh isska matlab sirf aur sirf ye hi hai , ki woh aapse janna chahti hai ki aap usse kitna pyar karte ho..
       
         Agar aap kisi se sacche dil se pyaar karte ho toh shayad aapki mann mein bhi use khone ka darr rehta hoga ..Jab yeh khone darr badhta jata hai tab pyar bhi badhne lagta hai.. Agar aap kisi ko khone se darta ho toh samajh jao ki usse aap sacchi mohabbat karte ho.. Yeh khone ka darr aur iss darr mein aap ki life mein uski importance ko samjhna isse hi toh pyaar kehte hai.
         
         Aisa nehi hai ki woh hume yaad aati hai isaliye hum usse yaad karte , balki isaliye kyunki  use yaad karna hume achche lagta hai ..Kisi na kisi bahane se usse yaad karna aur bina wajah muskurana isse hi toh pyaar kehte hai..

 Zaroori nehi hai ki har baar pyaar ki baat kare toh hum usski bewafai Ki dastan sunaye ..chahe yaade kitni bhi dardnak kyun na ho , khubsurat bhi toh hai...

 
                             


 

 

 
   

   

     

 

   

      
Previous
Next Post »