google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Why do you afraid of wardwork / hindi motivational speech. ~ Dream alive

Why do you afraid of wardwork / hindi motivational speech.



   Motivational





       Aap jis cheez par yakin karte ho woh cheez Aapke zindegi ko prerana deta hai.  Bhagwan ne insaan ko Isliye peda kiya hai taki wo apnki prerana ki hisab se chal sake.. jis tarah se ek baloon hawa k bina udd nehi sakta uss tarah se insaan bhi zindegi mein bina koi prerana ke koi bhi kaam nehi kar sakta hai.  Zindegi mein aapko koin sa kaam sabse jyada inspired karta hai yaani ki aapko prerana deta hai woh cheez aapkodhundh kar nikalna hoga .. Agar aap aisa karoge , aap aapne prerana ke hisab se kaam karoge tab aapko iss baat ka yakin kar paoge ki duniya mein aisa koi kaam nehi hai jo ki aap ne kar sako . Isliye hamesha aap ko wohi cheez karna chahiye jisse aapki zindegi ko prerana mil sake .Hum jab bhi koi kaam karne jate hai tab hume uss kam ke liye shakti ki zoroorat hota hai..Koi ek bada kaam karne ke liye sharirik shaktiyan hi kaafi nehi hai .. Iske liye hume mansik rup se bhi shaktiyan hasil karna zaroori hota hai.. Aur hamari andar ki prerana, jo hume wo shakti hasil karne mein hamara madat karte hai..Koi bhi kaam aap dil se nehi karna chahte ho lekin fir bhi aap ko woh kaam karna parta hai , tab aap uss kaam ko karte waqt khud ko duniya ka sabse bada nakamiyab  insaan samjhoge. Aapki andar ki prerana aapki juroon ko  badhane mein madat karta hai..Aur koi bhi mushkil  kaam ko pura karne mein aapki andar ki junoon hi aapko jeetane mein madat karta hai. Aapka harr sapna aapki andar ki junoon hi use pura kar sakta hai.. 
     
     Aapka sapna jo aapko hamesha prerit karta hai ..Jab  aap  aapne junoon ko aapne sapno ke sath jod doge ..Tab aap kisi bhi tarah ki mehnat karne se nehi daroge .. Junoon ek mansik bhukh hai.kisi bhi cheez ko hasil karne ka bhukh..Aur insaan jab bhi uss bhukh ko mitane chalta tab woh zindegi se kuch na kuch to hasil karke hi chodta hai.
 
  Koi bhi insaan jiski andar Junoon peda hota hai ..Wo khud ko aam insaano se kuch alag tarike se dekhta hai ..Uske pass hazaro sapne dekhne ki samay nehi hote hai ..Woh sirf ek hi sapna dekhta hai , aur woh tab tak khud ko shant nehi kar pata hai jab tak uska woh sapna pura na ho jaye .. Sapna toh harr koi dekh sakte hai lekin pura sirf wahi insaan kar pata hai jiski andar Junoon ho ..
           
Zindegi uss insaan ke liye bohut mushkil ho jata hai jo insaan sapne toh hazaro dekhta hai lekin mehnat karne se darta hai..Kuch log toh aapna zindegi kismat ki bharose bita deta hai.. Lekin kismat bhi uss insaan ka sath deta hai jo insaan mehnat karne ko taiyar rehta hai.. Jo insaan mehnat karne se darta hai Kabhi ye nehi jaan pata hai ki mehnat karne mein kitni khushiyan milti hai.. Insaan ki andar agar ek aisa sapna hai jo use pura karne ke liye prerit karta hai , aur uski andar ek junoon ka bhukh hai tab woh insaan mehnat karne se kabhi nehi darte.. Darte toh woh insaan hai jo aankhon mein sapna liye kismat ki bharose betha hai.. Zindegi mein kuch achche  ho jaye , aisa sirf wohi log sochte hai jo mehnat karne se darte hai.. Zindegi mein kuch achcha kare , aisa sirf wohi log soch pate hai jo mehant karne se nehi darte hai..Aur hamesha sab kuch achcha nehi hota hai , achchha karna padta hai . Bhagwan ne aapko sirf zindegi di hai , lekin jeene ka tarika aap ko chunna hoga.. Isliye hamesha bhagwan aur kismat ki bharose mat raha karo .. bhagwan ne jo hum ko diya hai woh sab iss duniya mein hi maujud hai ..Sirf aapko use hasil karna hai , aur iske liye aap ko mehnat karne ka shamta di hai , isse jyada aap bhagwan se aur kiya mang sakte ho..? Ek baar aap iss baat ko gehrai se soch kar dekho - itna bada duniya , jaha aap rehte ho , aap jo chaho woh kar sakte ho , aap jis cheez ko pana chahte ho woh aap hasil kar sakte ho .Isse jyada aap ki zindegi ko kya chahiye .. Shaktiyan insaano ki andar hota hai , duniya badalne ki shakti.. Sirf insaan use pehchanne mein galti kar deta hai . Bhagwan ne insaan ko itna jyada shaktiyan de diya ki har insaan isse yakin hi nehi kar pate hai .Lekin jo insaan iss shakti ko pehchan jate hai use kabhi pichhe mudkar nehi dekhna padta hai.
    
 
 
  
   
     

Previous
Next Post »