google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Motivation : How to stop overthinking in hindi/ change your life ~ Dream alive

Motivation : How to stop overthinking in hindi/ change your life


     

                        Stop overthinking

   

   

Motivational:

   
  
   
Overthinking yani ki hadd se jyada sochna , ye adat Shayad aap mein v honge .. Lekin aap ne shayad kabhi v isse chodne k ware mein nehi socha hoga.. Lekin aj jab aap ye janoge ki overthinking ki wajah se aap ko kitna nuksaan ho raha hai shayad aap v iss adat ko chodne  ki try karoge... 
    



Aap subhah se le kar pure din najane kinte saare overthinking karte ho iss ka andaja shayad hi aap ko ho ..Aap agar ek cheez soch rahe hote ho to najane kaha se dusra koi cheez aap k dimag mein aa jaata hai ..Iss k karan agar aap ek student ho toh padhai mein aap focus nehi kar pate ho , aap agar ek businessman ho toh aap aapni kaam mein dhyan nehi de pate ho.. Yaa fir aap koi v ho , kahi na kahi iss bimari ka shikar aap v ho..Har din aap k dimag mein kuch aise aise cheez ka khayal chalta hai jiska koi matlob nehi nehi rehta yaa toh fir aap k dimag mein kuch aise cheezo ko soch rahe hote ho jo apki asal zindegi mein exist hi nehi karta ..Iss adat ki wajah se aap harr din dher Sara samay gawa dete ho aur achche se aapni kaam ki tarah focus nehi kar pate ko .. Aap ek choti si cheez ko yaa koi v ghatna ko itna jyada bada bana dete ho aapne mann hi mann, jo ki asal zindegi mein utna bada hai hi nehi..  Mein aap ko bata du ki aap ki andar ek nakaratmak shakti hai aur isse aap jyada istemal karte ho.. lski biparit aap jitne jyada positive sochoge unta jyada aap k liye achha hoga ... Sochna galat nehi hai agar aap positive sochega toh.. jitna jyada positive sochega utna aap faide mein rahoge , usse overthinking bhi nehi kehte hai ..Iski ulta aap agar overthinking karoge, aap aapna confidence kho beithoge ,  khud k upar aap yakin karna band kar doge .. Aap ka dimag dheere dheere chhota hone lagega ..Aap k andar ka jo creativity hai wo dheere dheere kamjor hota jayega. Iske chalte aap mansik rup mein ek kamjor insaan mane jaoge.. Maan lo ki   2 ghante k liye kuch creative soch v lete ho , lekin aap ki andar ki overthinking ki wajah se aap ka dimag hazaro information nikal dega jo apki uss soch k khilaf honge.. Aisa lsliye hoga kyun ki overthinking ki wajah se dimag mein sabse jyada negativity felta hai..  Jo log overthinking karte hai agar wo kabhi kisi problem mein faste hai tab wo log uss problem se related sabse jyada negative information hi collect karte hai , aur andar se intna jyada pareshan ho jate hai ki wo uss problem ka haal dhundhne ki wajai , isse nuksaan kya hoga uss baat se jyada uljhe hue hote hai.. Musibat  chahe jinta bada ho uska koi na koi to haal zaroor hota hai..Agar  fir bhi aapko lagta hai ki aap k pass koi solution nehi hai toh aap samay ka intezar kar sakte ho.. Aur jab samay aane par anjaam apke samne ayega , tab aap dekhoge ki aap aapni overthinking ki wajah se jaisa soch rahe the asal mein wo utna bada hai nehi.. Jo cheez apke hath mein hai wo aap badal sakte ho  ,  aur jo aap badal nehi sakte ho uske liya aap waqt ka intezar karo.. kabh - kabhi  waqt ko bhi vishwas karne zoroori hai.. Aur kushi ki baat ye hai ki chaho to waqt ko aap badal sakte ho agar aap apni andar ki shaktiyon ko pehchante ho to...
       Aur aapko hamesha ek baat yaad rakhna hoga. Jo log aapke aas -paas rehte hai unme se jyada log apne zindegi mein pareshan rehte hai..Kyun ki wo log bhi overthinking ka shikar hote hai..Wo log kabhi bhi aake aap ko dara sakte hai.. Agar aap un logon k sath apna pareshani share karoge .. Wo log aap ko jyada dara dega.. Isaliye  jab bhi aap koi pareshani leke jaoge tab koi aise insaan k samne jao jo aapki pareshani ka haal dhundh ke de shakte hai , yaa aap ko sahi salah de sakte hai..Aur agar aap k pass bhi koi pareshan insaan aye to,  ho shake to uska haal dhundh kar do , yaa toh  kuch aisa salah usko do ki wo overthinking na kare..
      Agar aap apni overthinking ki adat ko badalna chahte ho to mein aap ko kuch tips batata hu , jiska istemal aap aanpe zindegi karke isse chutkara paa sakte ho
1. Hamesha positive raho
2. Khud ko yakin karo
3.Aap ek powerful insaan ho..koi aap ka jyada nuksan nehi kar sakte jab tak aap usse rok sakoge
4. Koi bhi pareshani itna jyada bada nehi hai jitna ki aap soch rahe ho.
5. Overthinking se nuksaan ho raha hai  aur aap aapna itna bada nuksaan  hone nehi doge ,kyun ki aap hamesha aapna profit chahte ho..
      Ab mein jo aap ko batane ja raha hu use dyan se suno , agar aap aap isse samajh jaoge to aap ka zindegi badal jayega.. Aapka jo dimag hai jisse aap sochte ho use control karna sikho..kyun ki aap jaisa sochte ho waisa hi aap karte ho , iss cheez ki upar aapka career , future , aapka dreams sab kuch  depend karta hai..agar aap apne mind ko control nehi kar paye , toh aap apne zindegi ko control nehi kar paoge.. Aur agar aap aapni dimag ki shaktiyon ko kuch positive sochne mein lagaoge tab aap ko success hone se koi nehi rok sakega...aur koi bhi musibat aapki dimag ko kamjor nehi bana payega.. Overthinking se bache rehne k liye aap vartaman samay ki taraf jyada dhyan dene ki koshish karo.. Aapne dreams ki ware mein socho , ye duniya kitni khubsurat hai isake ware mein socho..  Aap iss duniya mein kyun aye ho , aap kya kya kar sakte ho  aise  topic k  ware mein aap  khali  samay  mein soch sakte ho..
  
   
         
   

Previous
Next Post »