google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg How to get rid of fear/Apne andar ki Dar Ko Kaise Khatam kare ~ Dream alive

How to get rid of fear/Apne andar ki Dar Ko Kaise Khatam kare

Jab app ki andar ka self confidence khatam ho jata hai,  apki andar negativity kuch jyada hadd tak bar jata hai  , aap khud ki upar saari biswas kho bethte ho tab aapki andar ka darr jag jata hai...Aap khud ko ek doshi, aparadhi insaan ki tarah dekhne lagte ho...  Aur jab aap khud ko ek aparadhi insaan ki tarah dekhne lagoge tab aap khud ko ki ek saaja de rahe honge...Aur aap jab khud ko hi saaja dene lagoge tab aap khud hi aapne andar ki " khud ko raksha karne ki shakti"  kho bethoge... Isaliye hamesha khud ko maaf karna sikho...
          Kisi v buri ghatna ko  yaa cheez ko jyada sochne se aapki andar darr peda ho sakta hai...  Hamesha yaad rakho aapke andar jo shakti hai usse aap  kisi v cheez ka samna kar sakte ho .Sab se jyada zaroori hai ki aap khud ko pehchane...Jab aap kisi v darr k ware mein jyada sochne lagoge woh darr aap ko jyada bada lagne lagega ...Ho sakta hai wo darr utna bada  ho  bhi na ho jitna aap soch rahe ho.. Kuch darr aisa hota hai jiska koi matlab hi na ho fir v aap k soch k karan wo  darr ban jata hai.. Hamesha uske samna karne ka himmat rakho..." Jo hoga dekha jayega " ..Iss attitude mein agar aap rahoge tab aap kisi v darr ka kamse- kam samna ko kar sakoge..
      Apne andar ki darr ko khatam karne ki sabse aasaan tarika hai ki , uss darr ko anpe andar ki biswas se jeeto..Uss darr k khilaf aap kuch aisa information collect karo jo aapki uss darr ko khatam kar sake... Aur jab v aap aapne zindgi k harr ek darr k sath lad  sakoge aur use hara sakoge tabhi aap ek self confident insaan  banoge...
           Mashhur American writer Napoleon Hill ka kehna hai ki insaan 7 tarah ki darr ka shakar ban sakta hai:
       1. Gareebi ka darr
       2.Log kya kehenge uska darr..
       3.Beemari ka darr
       4.Pyaar se judaa hone ka darr
       5. Budhape ka darr
       6. Paradhinta ka darr
       7. Maut ka darr...
            Ab ate hai iss baat pe ki aise darr ko kaise khatam kare..Agar aap sachme chahte ho ki aap ki zindgi mein darr naam ka koi cheez na ho to sabse pehle aap khud pe biswas rakhna sabse jyada zaroori hai...
 Ab aap sachchai ki taraf dekho...Kya sach hai use pehle jano.. aap socho ki aisa koun sa cheez hai jo aap ki zindgi ko sabse jyada nuksaan kar sakta hai...Fir ye socho ki agar aisa ho gaya aap k sath to kaisa nuksaan ho sakta hai..Agar wo sach me nuksaandayak hai...Tab v aap uss cheez se bilkul darrna nehi chahiye...Khud  ko aisa tayar karo ki aap uss darr ka samna kar sako... Ab aap shant ho kar socho ki uss cheez ko rokne k liye aap kya kya kar sakte ho... Aap khud k waare mein v socho ki aap k andar kitna power hai aur aap kis hadd tak ja sakte ho..Aur aap jab aisa karoge tab kuch na kuch toh solution mil hi jayega..Kyun ki jab aap haqeeqat ka samna karte ho tab aap kuch hadd tak aap aapna kismat ko v badal dete ho..
       Doston ya baat to aap mante ho ki ,darr ki wajah se koi labh nehi ulta nuksaan..toh fir aap kyun darr darr k jiyoge ..Ek insaan k darr dusro ko bhi dara sakta hai..aur aap nehi darrte ho toh aap dusro ki darr ko bhi khatam kar sakte ho..
        Agar aap bina darre jiyoge toh aap iss zindgi ko khul kar jiyoge...aap k andar ek aisa biswas khara hoga jisse kuch bhi hasil kar payoge...

     
     
Previous
Next Post »