google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Aap jo sochoge wahi hoga aap k sath .. ~ Dream alive

Aap jo sochoge wahi hoga aap k sath ..










     
Hello dosto..

      Dhyan se padhiyaga , khyun ki aj mein ap se jo baat karne ja raha hu wo shayad apki zindgi badal degi..sirf kuch baaton ko ap samajh na hoga , jisse kuch kamaal ho sakta hai..
      Dosto ap v shayad sochte honge ki iss duniya mein insaan kyun sabse alag  hai...Kya sirf sharirik gathan hi isska wajah ho sakta hai..? Shayad nehi , insaan k pass ek aisa takat hai jo duniya ki kisi v prani k pass nehi hai ...Aur wo hai insaano ka tej dimag aur sochne ka shamta...Issi cheez ko hume samajhna hai...

                  Aap pura din najane ketne baatein sochte ho... Aur aap ka wo sochna , matlab aap jo soch te ho wahi aap karte ho, wahi aap aapne zubaan se bolte ho....Duniya k samne aap jo ho wo aap nehi aapka soch hai...Matlab hum jo sochte hai wahi karte hai ,wahi bolte hai aur duniya k samne usi hisab se pesh ate hai .. Duniya aap ko nehi aap ki bichar ko mante hai..Matlab aap jaise sochte ho waise hi act karte ho aur wahi duniya ko dikhai deti hai...Wo alag baat hai ki harr koi aap ko alag alog najariye se dekhte hai.. Kyun ki unka bhi apna apna soch alag alag hota hai...
       Ab baat karte hai ki hum kya sochte hai , matlab hum jeise sochte hai waise kyu sochte hai..?? Sochne ka khel apna dimag ka hota hai.. Humare dimag mein kuch informations hota hai...Hum informations k jariye  soch pate hai..Aur wo informations hum bahar ki duniya se lete hai...Ye duniya ek khuli kitab jaisa hai usse hum dekh te hai sunte hai, experience Karte hai  , aur usi se hume information milta hai...Aur unn information ko hum anpi najariye se dekhte hai...Usi ko sochna kehte...Aap jis cheez k ware sochte ,uss cheez ka information aap k dimag mein pehle se hi hota hai... Aur jis hisab se apke dimag mein uss cheez ka information hai, aap usi hisab se uss cheez ko soch sakte ho... Aap kabhi uss cheez k ware soch nehi sakte jiss cheez ki information aapki dimag mein na ho...Hamara dimag information ka bhandar hota hai.. Aur hum jab kisi cheez k ware mein sochte hai, tab hum hazaron informations ko istemal karte hai... Agar uss cheez k ware mein humare dimag mein negative information hai to hum usse negatively sochenge , aur Agar uss cheez k ware mein humare dimag mein positive information hai toh hum usse positively sochenge... Aap jab kisi ek cheez k ware mein sochoge tab aap hazaro information  istemal karoge  .. Aur unn information ko apka dimag do hisso mein batega .. Negative or positive.. Fir apka dimag unn negative or positive informations ko compare karega ...Fir apke dimag se uss cheez k ware mein ek soch banega..Fir se agar uss cheez k ware mein dimag mein agar naya information aa jaya to fir se naya soch ban jayega... Isaliye hamare zindgi mein sahi informations ki jaroorat hai.. kyun ki informations hi hamare soch ko build karta hai..Aur wo soch hi zindgi mein kam ata hai..
    Maan lo ki aap ek  3yrs ka chhota baccha ho  aur aap k samne ek computer hai.. Tab shayad aap uss coputer  ko open nehi karoge , uske mouse k sath aap kheloge ya fir kisi kimti cheez k sath kheloge ya use bahar fek doge..
      Ab manlo aap 15years ka ho , aur ab aap k samne fir se wahi computer hai...Ab shayad aap use open karoge  ..Usme video dekhoge yaa game kheloge..
   Ab manlo aap 35years ka ho gaye aur aap abhi job karte ..Aur aap k samne fir se wahi computer pari hai...Lekin ab aap usme apne office ya business ka koi zaroori kam kar rahe honge...
         Matlab ek hi cheez ko hum apne soch ki hisab se dekhte he...
         Isiliye agar aap apna zindegi badalna chahte ho tab aap ko apna soch ko badalna hoga.. Aapka soch  achha hoga tab aap achha karoge.. Isliye aap ko aaj se sochna hoga ki  apne soch kaise behtar banaye...Aap harr ek chhoti chhoti cheez ko socho,  aap nehi janoge lekin ye apki zindegi mein kaam ayega..   Apne soch ko behtar banane k liye ek tarika hai ki  hum apne dimag mein jyada se jyada knowledge jama kare ..Knowledge ko hum information bhi keh sakte hai ..Lekin harr information ko knowledge nehi keh sakte.. Jitna ho sake aap apne andar knowledge vhar lo.. Harr ek cheez ko experience karo, achhe achhe books ko padho ...Ye apki soch ko badalne mein help karegi... Aur ek baat hamesha achhe aur positive logo k sath rehna sikho.. Kyun ki aap jis insaan se milte ho , ya jiske sath  aap  rehte ho , wo insaan ap k samne uski apni soch k hisab se pesh ayega .. Aur uss insaan se kuch informations apki dimag mein transfer hoga.. Isiliye agar  wo banda galat hai to wo apki dimag mein galat information ghusa dega...Aur iss cheez ka asar aap ki soch mein bhi pad sakta hai... Aap ko khud ko nehi pata hoga ki aap ka soch kaise badal jayega... Aur ek baar aap ka soch badal gaya to aap khud v kuch nehi kar payoge... Aap galat kam karoge ..Lekin aap ki dimag mein jo informations hai usi k chalte woh kam v aap ko sahi lagne lagega.. Agar aap chori bhi karoge tab bhi wo kaam aap ko sahi lagne lagega...Kyun ki aap k dimag mein jo informations hai woh aap ko bata raha hai ki wo kaam aap k liye sahi hai...
     Aur agar aap hamesha acche logo ko follow Karoge, achhe books padhoge , acche kaamo ko experience karoge  , tab aap ka dimag achhe achhe knowledge ko, informations ko  collect karega...jis k chalte aap sahi dhang se achhe achhe cheez ko soch payoge...
            Jo successful log hote hai na ,unke pass ek accha thinking power hote hai...Wo duniya ko kuch alag dhang se dekhte hai..
     Isaliye  aap v apne thinking power ko develop karne ki koshish karna chahiye..
   
   
 
         
   

Previous
Next Post »