google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Khud ko kabu karna sikhe/ apni mann ko khud vash mein lao /motivational ~ Dream alive

Khud ko kabu karna sikhe/ apni mann ko khud vash mein lao /motivational



   Dosto jab aap self control yani k khud ko kabu mein lana sikh jaoge tab aap jo chahoge wo aap bilkul aasaani se kar paoge..  Aj mein aap k sath kuch aisa cheez share karne ja raha jo ki aap ko samajh aa jaye toh kuch v aisa mushkil nehi hoga jo aap nehi kar paoge.Aap jaisa chahoge aapka zindegi waisa hi hoga. Aap aisa bohut kuch jante ho , aur aisa bohut kuch karna chahte ho lekin kar nehi pate ko  kyun ki aap uss cheez mein maann nehi laga pate ho , aap khud ko uss kam k liye tayar nehi kar pate ho yani ki aap khud ko control nehi kar pate ho. Lekin aap jab khud ko control karna sikh jaoge tab aap apne soch k hisab se kuch v kar sakoge.lsliye aap ko khud ko control karne ka aadat bana lena padega..Aur jab aap ka ye aadat ban jayega tab aap puri tarah se tayar ho jaoge kisi v mukkam ko hasil karne k liye..Aur ye aadat tabhi banega jab aap uss cheez k liye mehnat karoge. Agar aap ek student ho aur aap ko lagta hai ki  aap ko 8 ghante padhai karna chahiye. Toh dimag ko aise control karo ki aap 8ghanta padh pao..Aap ko 8ghanta padhai karke puri karna hai..Kisi bhi haal mein ye kam puri karna hai..Agar aap 8ghanta se 1ghanta pehle v give up kar dete ho toh aap demotivate ho jaoge.. Kyun ki aap apni target ki hisab se wo kam nehi kar paya..aur aap agar 8 ghante aapni hisab se padhai kar liya, toh aapki andar ek aisa biswas jag jayega ki aap jo chahte ho wo aap kar sakte ho. Aur ye biswas aap ko kuch  bada kam karne mein madat karega. Jo kam aap karna suru karte ho  kuch hasil karne k liye tab aap kisi v tarah se wo kam pura karne ki koshish karo. Agar aap ko  wo kam bich mein chadna pade toh to aap dekho ki  aisa kya kya reason hai jiski wajah se aap ko wo kam chadna pad raha hai. Agar koi bada reason nikle to wo alag baat hai.. Lekin kuch chota chota reason nikal kar ata hai to aap samajh lena ki wo aap ki andar ki alas ki wajah se ho raha hai. Agar aap harr kam ko adha adhura karke chod dete ho apki andar ki biswas dheere dheere khatam hone lagta hai. Aisa hone apki andar ki nakaratmak shakti jaag jayaga jo ki aap k liye bilkul achha nehi hoga.. Kisi v cheez ko karne k liye apke andar jo Bharosa hai usse kabhi tootne nehi dena..Agar apki andar ka Bharosa toot jata hai tob aap nakaam ban jate ho..agar aap ko koi kam karne meine mann na lage .Tab aap ye socho ki uss kam ko pura karne se aap ko kya milega.. Uss cheez ko soch kar aap khud ko motivate kar sakte ho aur fir se uss kam k liye khud ko tayar kar sakte ho..Agar aap ek student ho aur aap ko iss bar exam mein 80% marks lana hai aur uske liye apko har roj 5ghanta padhai karni hai..Lekin aap ko padhai karne mein mann nehi lagta  tab aap ye socho ki aap sach mein agar issbar exam mein 80 percent marks la paye toh kya hoga aap k sath.. Tab aap ko kaisa lagega , gharwale kitne khush honge , teachers kaise aap ko appreciate karenge.. Agar aap aisa sochoge tab apne andar se ek awaaz ayega " mujhe kisi v haal mein padhai pura karna hai... Aur job aap soch mein exam mein 80 percent laoge, tab apki andar ka confidence level itna jyada badh jayaga ki aap kuch v kam karne jaoge to usse pura karke hi chodoge...
         Apka mann hamesha apki kabu mein hona zaroori hai..Aap ki mann ko uss cheez mein lagao jo aap asal mein karna chahte ho..Aur jo cheez aap nehi karna chahte ho fir v aap adat se majbur ho kar wo cheez  karte ho uss cheez se aap jitna jaldi ho seke apna mann hata lo.. Koi v buri adat ko chodna utna mushkil nehi hota jitna aap sochte ho..Uss ke liye kuch hi dino ka mehnat lagta hai.. aur agar aisa nehi kar sakte ho to soch lena ki aap ka mann aap ki kabu mein nehi hai.. Aur jitna jaldi ho sake utna jaldi aap apni mann ko kabu mein laye..Bahar ki buri cheez aap ko tab tak nuksaan karta rehega jab tak aap apni mann ko kabu nehi kar payoge.. Dosto ye hi hai sabse bada sach ki aap jab tak khud ko kabu kar sakte ho tab tak sab kuch aasaan hai , kuch bhi mushkil nehi hai ...Aur jab aap khud se aap kabu kho bethoge tab kuch bhi sambhav nehi hai aap ke liye...
   

     
                   
Previous
Next Post »