google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Motivational: how to be happy in hindi/ zindegi mein khush rehne ka tarika ~ Dream alive

Motivational: how to be happy in hindi/ zindegi mein khush rehne ka tarika

                            Motivational

Zindgi mein khush rehne kuch tarike








  Dosto aaj jo baatein aapke sath share karne ja raha hun wo shayad aapki zindegi ko khushiyon se bhar dega .. Duniya mein aisa koun hai jo zindegi mein khush rehna nehi chahta ... Insaan saari zindegi khushiyon ki talash mein bita dete hai.. Lekin shayad hi kuch log hamesha khush reh pata hai.. Lekin kuch Baaton ko aap samajh jate ho toh shayad har cheez mein khushiyon ko khoj pana aapke liye aasan ho jayega..
     
       Aap koi bhi kam karte ho tab aap ye ummid rakhte ho ki uss kam se aapko khushiyan milegi..Aap  ko sirt wohi cheez  achcha lagta hai jisse aapko khushiyan mile .. Lekin insaan hamesha khush nehi reh  pata hai kyun ki insaan ko zindegi ki har ek paristhiti se gujarna padta hai... Insaan ko ladna padta hai zindegi ke sath aur waqt ke sath .Aur waqt hamesha aapki  zindegi ko nayi nayi paristhitiyon se milata hai.. Aur hume kabhi khushi aur kabhi dukh ka ehsaas karata hai .  Ab waqt ko hum rok nehi sakte aur kuch hadd tak badal bhi nehi sakte , Isliye hume khud ko kuch iss tarah tayar karna padega ki hum harr waqt khush reh sake ..
   
     Pehle hume yee baat janna padega ki khushiyan kya hai , aur hamari zindegi mein khushiyon ka kya value hai.. khushiyan ek mansik sthiti hota hai..Agar aap ki dimag ko yee lagta hai ki sab kuch sahi ho raha hai , aap jaisa soch rahe ho waisa hi ho raha hai , jo ho raha hai usse aapka koi nuksan nehi ho raha hai , tab aap ka dimag aapko khush rehne ki ijazat deta hai ..Liken aapki dimag ko aisa lagta hai ki kuch galat ho raha hai aapke sath , jisse aapka nuksan ho sakta hai , kisi bhi cheez se aap ka ummid  toot raha hai tab aapka dimag aapko dukhi kar deta hai .

     Aap ek taraf se dekhoge to khushiyan zindegi ka maksad hota hai.. Insaan sirf unn palo ko jee pata hai jab woh khush rehta hai..
    Harr insaan ki soch alag alag hota hai , Isliye harr insaan ki khushiyon ki wajah bhi alag alag hota hai .. Ek gareeb insaan k liye 2waqt ka khana hi uska khushiyon ki wajah ho sakta hai .Lekin ek aamir businessman  ki khushiyon ki wajah 2 waqt ka khana nehi , business mein cororo ka profit hona ho sakta hai..  Isliye aap sabse pehle aapki khushiyon ka wajah kya kya ho sakta hai usse dhundh kar nikalna hoga ..Aur shayad woh wajah aap aasani se nikal paoge..
 
     Agar aapka koi sapna hai toh aap uss cheez ki ware soch kar khush ho sakte ho , aur agar aap woh sapna puri nehi kar pate ho tab aap andar se dukhi rehte ho. Jab aap apne sapne ko pura karne ke liye kaam karte ho , tab uss kam ko karte waqt apne andar khushiyan mehsus kar pate ho..Aur jab aap uss kaam ko pura kar dete ho , uss din aap khud ko duniya ka sabse khush mehsus karte ho.. Khush rehne ka ek upay yah hai ki aap jitna ho sake mehnat karo..Aap shayad ye baat nehi jante ho lekin Mehnat aapko sabse jyada khushiyan dete hai..Agar wo Mehnat  aap ka koi adhura sapna pura kar deta hai to khushiyan dugna jyada badh jata hai..Ek Kissan jab tapti dhup mein kaam karke koi pad ke chhaw k niche jake bethta  tab wo duniya ke  sabse jyada khushiyan mehsus kar pata hai .. Matlab insaan ko jiss cheez ka sabse jyada zaroorat hota hai agar wo cheez usko mil jaye tab wo insaan khush ho jata hai..  Jyada tar insaan apne zaroorat ko puri na karne ki wajah se dukhi rehta hai .. Lekin insaan ki zaroorate kabhi khatam hi nehi hota .. Isliye aap yaa toh aap ka ek ek zaroorat ko puri karte jao yaa toh jo aap k pass hai ussi se khush rehna sikho..
         
      Insaan hamesha badi badi cheezon mein khushiyon dundhte hai , issliye choti choti khushiyon ko woh log najarandaj karte jate hai.. Lekin chhoti chhoti khushiyan hi hamare zindegi ko sabse  jyada khubsurat bana sakta hai.. aur harr waqt khush rehne ka yeh tarike ho sakte hai ki aap chhoti-chhoti  cheezon mein khushiyon ko dhundhna shuru karo ..Iske liye aap ko hamesha positive rehna sikhna hogo aur khud par hamesha yakin karna hoga . Jyadatar insaan hamesha yeh sochta hai ki unka past bohut accha tha, aur future bhi bohut khudsurat hoga.Lekin wo kabhi kabhi yeh nehi  sochta ki , Unka jo past hai wo ek din unka present tha ..aur unke zindegi mein future bhi kabhi present ban kar hi ayega.. Insaan sirf apni vartaman samay ko hi jee sakta hai.. Isiliye jo khushiyan hai woh sab vartaman samay mein hi hota hai.. Lekin aap apne future ke liye planning kar sakte ho , uske liye aap Mehnat kar sakte ho.. Kuch log yeh sochta hai ki jisdin zindegi mein sab kuch thik ho jayega , tab uska zindegi khushiyon se bhar jayega. Halanki aisa bohut kam hota hai.. har kisi ke zindegi mein kuch na kuch kamiyan zaroor hota hai..Taki insaan uss karmiyon ko dur karne ke liye fir se mehnat kare .  Bhagwan kabhi kisi ko har khushiyan ek sath nehi deta hai.. Khushiyon ka alag alag hissa hota hai jo samay ki hisab se aapki zindegi mein aata hai.. Aap achchi tarah se khud ko samajhoge toh dekhoge ki har samay koi na koi khushi ki wajah aapke sath juda rehta hai.. Aap ko sirf use dhundh kar nikalna hai..  Agar kabhi aapki zindegi gam se vhar jaye aur apko khush hone ka ek bhi wajah na mile  tab aap yeh soch sakte ho ki ekdin na ekdin aapki zindegi se woh dukh ka ghadi khatam ho jayega..Aur tab aap ki zindegi mein  kitna saara khushiyan laut kar ayega..
 
      Khushi aur gam zindegi ka do hissa hota hai.. Aapki zindegi mein gam hai isaliye ki toh aap khushiyon ko value de pate ho ..Socho agar aap ki zindegi mein sirf khushiyan hi hota toh kya hota.? Aap shayad kabhi uss khushi ko samajh hi nehi pate ..Aap agar do din bhukha rehte ho tabhi aapko pata chalta hai ki zindegi mein khana kyun  itna zaroor hai..Usi tarah jab aap gam mein jeete ho tabhi aapko pata chalta hai ki zindegi mein khushiyan kyun itna zaroori hai..
 
     Isliye  hamesha khushiyan dhundne se pehle khushiyon ka wajah dhundho.. mujhe pura bharosa hai ki agar aap aisa karoge toh pehle se jyada muskuraoge..
   

   



 
   

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Unknown
admin
5 May 2019 at 00:12 ×

Nyc

Congrats bro Unknown you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar