google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Motivational :Aap jo mangoge duniya aap ko wahi dega/ Hindi motivational article ~ Dream alive

Motivational :Aap jo mangoge duniya aap ko wahi dega/ Hindi motivational article





Motivational






     Agar aap ke pass ek powerful dimag hai aur ye zindegi jo aapki opportunity yani ki   mauka hai , toh aap kyun uss cheez ko Haasil nehi kar sakte ho jiske ware mein aap soch rahe ho..Aap ki zindegi kyun abhi bhi wahi khadi hai , jaha se aap ne isse shuru kiya tha ..?? Aap kyun woh cheez nehi karte ho jo aap ki dil chahta hai..??  Ye zindegi ek mauka hai , ye samay aapke liye ek mauka hai.. Afterlife koi dusta zindegi milega ki humesha a k liye hum mitti mein mil jayenge woh koi nahi janta hai..Sirf ek hi toh zindegi hai aur sapne hazaro hai..Toh fir kyun aj se hi kaam pe nehi lag jate ho..Aapki dimag ko aur aap ki sharir ki shaktiyon ko kisne rok kar rakha hai..

   Pehle khud ko pehchan ne ki koshish karo..Aap Kaun ho , aap kya kar sakte ho aap kyun iss duniya mein aye ho ?
Fir aap iss duniya ko dekho.. Iss duniya ka kuch rules hote hai  .Ye duniya sirf un logo ko mante hai jo iska kaabil ho , ye duniya usi ko yaad rakhte hai jo iss duniya k liye kuch kar jate hai ..Agar aap iss duniya ko achche se samjhoge toh dekhoge ye duniya aap ko wo saari suvidhayen deti hai jo jo aap ko chahiye hota hai.Harr mauka aap k aankhon Ke samne hote hai sirf aap usse dhundh nehi pate ho.. Kyun ki Shayad aap ne khud ko aur iss duniya ko kabhi janne ki koshish hi nehi ki.
    Shayad aap kuch achcha kar sakte ho , iss cheez ko jab aap yakin karna shuru kar doge tab apko koi nehi rok payega . Aap iss duniya ki harr ek insan se alag ho , iss baat ko aap yakin karoge ,  tab aap kuch aisa karoge jo ek aam insan nehi kar pata hai.. Agar aap ek aam insan ki tarah sochoge toh aap ek aam insan ki tarah hi zindegi bitaoge..kuch alag  socho , kuch alag karo , jisse aap duniya ki nazaron mein aa sakho. 
    Alsi ek dimagi bimari.. aankhon mein hazaro sapne hai , fir bhi aap aaram ki nind le rahe ho.. kyun ki aap k andar sapne toh hai hazaro , lekin aap kabhi khud pe yakin hi nehi kiya ki aap woh cheez kar sakte ho.. Aap ek jhuth ke sahare jee rahe ho ki aap waisa nehi kar sakte ho , lekin sach toh ye hai ki aap kuch bhi kar sakte ho..Aap kabhi aapne andar ki puri shaktiyan istemal nehi karte ho jitna aap chaho toh kar paoge..Sach baat to ye hai ki  aap agar iss duniya ki sabse mushkil kam bhi agar kar loge yaa aap iss duniya ki sabse mushkil cheez ko bhi hasil kar loge , fir bhi aap ki andar ki shaktiyan khutam nehi hoga..Aap aapne sapne ko pura karna chahte ho , lekin aap uss cheez ke liye mehnat karne se darte ho.. Lekin aap iss cheez ko nehi jante ho ki  mehanat karne mein jo khushi milti hai woh cheez kisi aur cheezon mein nehi milti , aur jab aap kuch cheez ko mehnat karke hasil karoge tab uss khushi mein aap aapni zindegi ka matlab dhundh paoge..Aur jab tak aap mehnat se dar kar bhagoge tab tak zindegi aapko khushiyan nehi degi..
    
  
    Zindegi mein koi bhi khushi ho usske liye kimat chukana padta hai hai.. Koi cheez aasani se milne se wo cheez aapko utna khushi nehi de payega , jitna Khushi aap ko mehnat ki cheez de payega.. Isiliye khushiyon ke pichhe mat baga karo , chup - chap mehnat karte jao , ek ke bad ek khushiyan tumhare sath judta jayega.. Duniya ki koi bhi mehengi cheez , jo ki kabhi Tumhara bhi ho sakta hai , agar tum uss cheez ka kimat chuka paoge toh.. Iske liye aap ko kabhi mehnat karne se darna nehi chahiye ..Aap shayad aap ye soch rahe honge ki mein sirf sharirik mehanat ki baat kar raha hu .. Lekin mein yaha sharir aur dimag dono cheez ki mehnat k ware mein baat kar raha hu...Kyun ki Patthar to koi bhi tod sakte hai ,  lekin hathoda lekar patthar todne se wo duniya ki sabse aamir insaan nehi ban jayega... Isliye dimag aur sharir dono ki mehanat zaroori hai.. Aap kis cheez ki upar mehnat kar rahe ho usi ka result milega.. dimag se mehenat karna sabse zaroori hai , aur duniya ka jyada se jyada insaan apni dimag ka sahi se istemal nehi kar pate hai.. Jo bhi kaam aap karoge uss kaam ke liye aap ki mind mein bichar utpann hona zaroori hai aur wo bichar aap ki dimag mein utpann hota hai..Kisi bhi cheez ko sahi dhang se soch pana, kisi bhi musibat ka upay dhundh kar nikalna , ye sab kam aapna dimag ka hota hai..Kisi bhi kaam ko karna yaa na karne ka faisla aapna dimag tay karta hai.. Isliye dimag ki shaktiyon ko aap nazarandaz nehi kar sakte ho.. Aapka sharir to koi bhi kaam karne ke liya hamesha tayar rehta hai. Aap agar apni dimag ka istemal nehi karoge to aap ko gadho ki tarah mehnat katna padega.. Lekin aap agar dimag ka shaktiyon ka istemal karoge yani ke dimag se mehnat karoge toh fir shayad aap ko jyada sharir mehnat karna na pade.. Mansik shaktiyan sharirik shaktiyon ko kam kar deta hai ..
    Aap jaise sharirik shaktiyan badhane k liye khana khate ho usi tarah apne mansik shaktiyan badhane k liye aap ko knowledge badhana hoga.. Hamesha positive rehne se aapka mansik shaktiyan bohut jyada badh jata..
 
  Kisi kam ko karne k liye dhyan bohut zaroori hota hai..Jo cheez aap karna chahte ho uspar focus karo..  kisi bhi ek cheez par focus Karo , Taki aapka dhyan idhar udhar na bhatke.. koi bhi ek cheez mein dhyan dene se ye hota hai ki aap bohut kam samay mein uss kaam ko kar pate ho , aur apni saari shaktiyan usi cheez par lagate ho.. Agar kisi bhi kaam mein achche se dhyan dete ho toh aapki andar ki saari shaktiyan aap istemal kar sakte ho aur wo kaam aasan ho yaa mushkil ho success zoroor milta hai.. Jab kisi kaam mein aapna puri dhyan lagate ho tab aap ka dimag aur sharir dono uss kaam k liye tayar ho jata hai..
  
 
      
   
   
      

Previous
Next Post »