google-site-verification=viyXG_00ZH-82h_pUDK8xo4wEo2_nVcjVZmSBmoUkxg Motivation : khud se wada karna sikho ~ Dream alive

Motivation : khud se wada karna sikho




    Agar aap zindegi mein kuch hasil karna chahate ho to aap ko khud se kuch wada karna padega... Aur jo wada aap khud se koroge usse aap kisi v haal mein nivaoge ...Kisi v kimat mein aap vo wada kabhi nehi todoge..  Aur aj mein aapko batane ja raha hu ki koun - koun sa wada aap khud se karoge.. Aur mein v apse ek wada karta hu agar  aap un wado ko  yaad rakhoge aur hardam pura karoge tab duniya ka aisa koi shakti nehi rahega jo  aap ko  kamiyab ho ne se rok sake..
    1. Jab tak aap kisi cheez ko yakeen  karte ho , tab tak aap thik ho ..tab tak uss kam ko karna band nehi karoge.. Aap apne yakeen ko hamesha Sanman karoge..
    2.  Apne andar ki Vishwas ko jagao , agar aap kisi kam ko pura khatam kar sakte ho , toh uska achha parinaam apko zaroor milega ... Isliye jyada soch k pareshan hone ki koi zaroorat nehi hai...Uss kam ko mann lagake karna hai...Kuch achcha zaroor hoga..
  3. Jab aap koi v kam karne jaoge tab hazaro rukawat ayenge..Uss k liye khud ko tayar rakho.. Badha - rukawat k sath vishwas aur sahas k sath ladna hoga apko.. chhoti- chhoti bahane jo aap ki andar ki aalsi k karan peda ho sakta hai...Jo aap ki kamo mein nakaratmak prabhav felayega usse aap Nazarandaz karna hai..Kabhi nirash mat hona ...
4.  Koi aap ko apni lakshya tak pahunch nehi dega - aisa aap kabhi hone nehi doge..  Apko agar lagta hai ki koi apko apni lakshya hasil karne mein apko rok raha hai ..Toh jitna ho sake usse dur rehne ki koshish karo.. Aur jo insaan apko inspired kare usse hamesha apne pass rakkho..
    5. Aap ki sharir ko aap tandurust rakho.. sharirik rup se agar aap kamjor honge yaa unfit honge toh iss ka prabhav aapka dimag mein v hoga ..Jiske karan aap andar se motivate nehi reh paoge. Agar aap physically strong rahoge  tabhi aap achche cheezo ko soch paoge..Aur apki dimag ko bhi lageg sab kuch thik chal raha hai..
           Aur aako dimag se v utna tez rehna chahiye ki kisi v tarah ki negativity apko nirash na kar sake..
  6. Aap apne lakshya tak pahunchne k liye ek k bad ek kam kar jaoge..Harr subhah jab aap bistar se uthage tab sabse pehle aap apne lakshya k ware mein sochoge.. Har roj uske liye kam karoge..
    7.Iss baat ko hamesha aap ko yaad rakhna hoga ki  duniya ki har ek kamiyab insaan zindegi k ek ek rukawat ko paar karke uss mukkam tak pahuncha hai.. Isliye aap ki zindgi mein v jab -jab rukawat ayenge tab aap unko yaad karoge...
8. Aap kabhi nirash ho kar apna rasta nehi badloge .chahe jitna v jo ho jaye.. Umeed ek aisa cheez hai jisse aap duniya jit sakte ho..
       Mujhe lagta hai ki aap un saare Baaton ko  yaad rakkhoge  toh aap apni hisab se koi v cheez hasil kar loge...
   
    "Kuch Farz to banta hai khud k liye bhi,
       Khud ka farz khud se aada kiya karo..
  Duniya se kyun hazaro wade kiye firte ho
     kuch wade to apne aap se v kiya karo.."
  

Previous
Next Post »